"Raat kat’ti rahi chaand dhalta raha,"
"Aatish-e-hijar mein koi jalta raha,"
"Ghar ki tanhaiyaan dil ko dasti rahin,"
"Koi bechain karwat badalta raha,"
"Aas-o-umeed ki shamma roshan rahi,"
"Ghar ki dehleez ko koi takta raha,"
"Raat bhar chaandni gungunati rahi,"
"Raat bhar koi tanha sisakta rha,"
"Ashk plkon pe aa k bikharte rahey,"
"Naam lab pe kisi ka larzta rha,"
"Aaj phir raat basar ho hi gayi,"
"Aaj phir koi khud se ulajhta raha.....
No comments:
Post a Comment