Friday, December 10, 2010

Wo larki shayd pagal thi


Wo larki shayd pagal thi
Din raat hi gum sum rehti thi

Kuch sharm-o-haya ka pekr  thi
Kuch narm mizaji rkhti thi

Ankhon me neem nasha sa tha
Baaton sy deewani lgti thi

Hmraz na tha uska koi
Bas khud sy baatein krti thi

Ik sharm k Aanchal me aksar
Jazbat chupaye rkhti thi

Darti thi juda ho jany sy
Ya pyar sy shayd darti thi

Kya sabr tha us dewani ka
Kya zabt-e-mohabbat rakhti thi…

Hai rashk mujhy us pagli py,,,
Kya khoob mohabbat karti thi.

Ansuon ka shAm ki palkon pe larzty rhna


Ansuon ka shAm ki palkon pe larzty rhna,
Doob jaey jo ye manzr to brsty rhna.

Uski Ádat whi hr baat adhori krna,
or phir baat ka mafhoom badlty rhna.

Áag se seekh lia hy ye qreena hm ny,
bujh B jana to bari dair sulgty rhna.

Jany kis umar my jaye gi ye Ádat uski,
Rothna khud se to oron se ulajhty rhna.

"Raat kat’ti rahi chaand dhalta raha,"


"Raat kat’ti rahi chaand dhalta raha,"
"Aatish-e-hijar mein koi jalta raha,"

"Ghar ki tanhaiyaan dil ko dasti rahin,"
"Koi bechain karwat badalta raha,"

"Aas-o-umeed ki shamma roshan rahi,"

"Ghar ki dehleez ko koi takta raha,"

 

"Raat bhar chaandni gungunati rahi,"

"Raat bhar koi tanha sisakta rha,"

 

"Ashk plkon pe aa k bikharte rahey,"

"Naam lab pe kisi ka larzta rha,"

 

"Aaj phir raat basar ho hi gayi,"

"Aaj phir koi khud se ulajhta raha.....

Kbi jo zindgi ki uljhnen tm ko hi uljha den


Kbi jo zindgi ki uljhnen tm ko hi uljha den,
khbi jo raaston k faasle tay na ho paen,

Kbhi jo raat ki tnhai men tm,
“Saaey ko dhondo, Kisi apne ko socho”

To phir “TM” Kuch mehsos kr lena
Apne “HATH” ki grift mein Tum Aik “HATH” pao gy

Mujhy tum “SATH” pao gy
Hmesha “SATH” pao gay

Hum to Nazuk Hain Bilkul ksi Ehsas ki Trha


Hum to Nazuk Hain Bilkul ksi Ehsas ki Trha,
Tum Na Socho ge Humain to Mar Jaen ge!

Pas Raho ya Dur Itna Khyal Rakhna,
k Tum Na Dekho ge Humain to Mr Jayege,

Titliyon Me or Hum Me Yahi Bat Hai Mushtrik,
Pakar k Jb Choro ge Humain To Mr Jayen ge,

Dil ki Tehni Pe Hi Khila Rehne Do Hmari Mohabbat ka Phool,
Jab b Tehni Se Toro ge To Mar Jaen ge.

Kabi Na Milna Hum Se, Moj e Darya Bn k “WASI”
Mil k Bichro ge Hum Se To Mar Jaen ge