Ek roz juda ho jaon gi
Na jane kahan kho jaon gi
Tum lakh pukaro gay muj ko
Par lot k main na aon gi
Jab ghar say bahir galion k
Konon pe tanha betho gay
Jab atay jatay chehron main
Tum chehra mara na pao gay
Thak haar k din k kamo say
Jab rat ko sony jao gay
Dekho gy jab phone ko
Pegham mara na pao gy
Tab yaad tumhain main aongi
Par lot k main na aongi
Ek roz ye rishta chootay ga
Dil itna zayada toty ga
Phir koi na ham sy rothe ga .....
No comments:
Post a Comment