Tuesday, December 7, 2010

Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo


Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo

Kum to pehle bhi nahi aur to ruswa na karo

Kabhi jugnoo kabhi taare kabhi nargis keh kar

Tum meri Ankhon ko is tarha to cherra na karo

Bhanp jae na kahin dil ki lagi ye duniya

Yoon shafaq ban kar mere chehre pe tehra na karo

Baat choti si bhi afsana bana deti hai

Tum kitaboon pe mera naam likha na karo

Dil ko bechain sa karti hain aksar tumhari ankhain
Raat ko dair talak tum mujhe socha na karo
Saamne Sab k kare Kis tarha IQRAR Mohsin
Yun sar-e-bazm to us se Ye TAQAZA Na karo

No comments:

Post a Comment